I searched for this poem on the web but couldn't find it. Instead I found many people asking if someone knew the complete poem and if it has been posted on the internet. 
So I thought of posting it in my blog. The words may not be the exact words as in the original poem, but this is all I remember.
Happy reading, its a bit too long, but a good piece of critique on Indian railways.


Bhartiya rail ki general bogi
pata nahi aapne bhogi ki nahi bhogi
Ek baar humein karni padi yatra
Station par dekh kar sawariyo ki matra
humare paseene chootne lage
hum jhola uthakar ghar ki taraf footne lage

Tabhi ek kuli aaya, muskura ke bola:
"Andar jaoge?"
Humne pucha, "tum pahuchaoge?"
Woh bola: "bade bade parcel pahuchaye hain,
Aapko bhi pahucha dunga
Par rupay poore pachas lunga"
Humne kaha, "pachas rupaiya"
Woh bola, "haan bhaiya
Do rupay aapke, baki samaan ke"
Humne kaha: "Pyare, samaan nahi hai
Akele hum hain"
Woh bola: "Babuji, aap kis samaan se kam hain
Bheed dekh rahe hain, kandhe par uthana padega
Dhakka dekar andar pahuchana padega
Manjoor ho toh batao"
Humne kaha, "dekha jayega
Pehle tum uthao"
Kuli ne bajrang bali ka naara lagaya
aur puri takat lagakar jaise hi humein uthaya
Bechara khud baith baith gaya
Doosri baar kosish ki toh let gaya
Haath jodkar bola: "Babuji,
bhagwan hi aapko utha sakte hain,
hum kya khakar uthayenge
aapko uthate uthate khud hi duniya se uth jayenge"

Tabhi gaadi ne seeti li, hum jhola uthakar bhaage
badi mushkil se andar jaa paye
Dabbe ka drishya toh aur bhi ghamasan tha
pura dabaa apne aap me Hindustan tha
Log lete the, baithe the, khade the
Jinko jagah nahi mili, woh birth ke neeche pade the

Humne ek ganje yatri se kaha:
"Bhai sahab, thodi si jagah humare liye bhi banayiye"
Woh bola:
"Aaiye, humari khopdi pe aakar baith jayiye
Aap ke liye hi saaf ki hai
Keval do rupay dena, par fisal jaao toh humse mat kehna"

Tabhi ek bhara hua bora, khidki ke raaste chada
Aage bhada aur ganje ke sir pe gir pada.
Ganja chillaya: "Kiska bora hai?"
Bora fauran khada ho gaya
aur usme se ek ladka nikal kar bola:
"Akela bora nahi, bore ke andar barah saal ka chora hai
Andar aane ka yahi tareeka hai,
Humne apne maa-baap se seekha hai
Aap toh ek bore me hi ghabra rahe hain,
jara thehar jayiye, abhi gadde me lipat kar
humare pitaji andar aa rahe hain"
Unko aap kaise samjhayenge
Hum toh khade bhi hain
Woh toh aapki godh me baith jayenge"

Ek sajjan farsh par baithe the aankhein moonde
Unke sar par padi pani ki kuch garam garam bunde
Woh sar uthkar chillaye:
"Kaun hai, kaun hai?
Kambakht pani girakar maun hai!
Dikhta nahi neeche tumhara baap baitha hai!"
Upar ki birth se aawaaz aayi:
"Shama karna bhai, darasal pani nahi hai
Humara 6 maheene ka bachha leta hai
Kripya maaf kar dijiye
Aur apna muh bhi neeche kar lijiye
Warna, bachhe ka kya bharosa"

Ek mahanubhaav baithe the saparivaar
humne pucha, "kaha jaa rahe hain sarkar?"
Woh bole, "Jahannum mein"
Humne puch liya, "With family?"
Woh chillakar bole,
"Aapko mazaak karne ke liye yahi jagah mili?"

Tabhi dabbe me hua thoda sa ujala
Kisi ne jumla uchhala
"Ye kisne beedi jalayi hai?"
Koi bola, "Beedi nahi, swagat karo
Dabbe me pehli baar bijli aayi hai"
Kisi ne pucha, "pankhe kahaan hai?"
"Pankho par aapko kya aapatti hai,
Jaante nahi rail hamari rashtriya sampatti  hai!!
Koi rashtriya chor humein ek hissa de gaya,
koi sampatti me se apna hissa le gaya
Aapko lena hai toh aap bhi le jayiye
Magar jeb me jo bulb rakh liye hain,
unme se ek aadh humko bhi de jayiye"

Tabhi dabbe me badi jor ka halla hua
Ek sajjan chillaye, "pakdo! pakdo! jaane na paye"
Kisi ne pucha, "Kya hua, kya hua?"
Sajjan bole, "Haye! mera battua
Kisi ne bheed me maar liya
Pure teen sau se utaar diya
Ticket bhi usi me tha"
Ek padosi bola, "rehne do rehne do,
Bhumika mat banao, ticket na liya ho toh humse haath milao"
Humne bhi nahi liya hai
Aap is kadar jo se chillayenge,
toh aapke saath hum bhi pakde jayenge
Khud toh Without Ticket jaa rahe hain
Duniya bhar ko chor bata rahe hain"
Battua dhari bola, " Nahi bhai sahab,
main jhooth nahi bolta
Vishvaas kijiye main teacher hoon"
Kisi ne kaha, "Isiliye toh jhooth hai
Teacher ke paas aur battua,
isse achha mazaak toh itihaas me aaj tak nahi hua"
"Kaisa itihaas, mera vishay bhugol hai"
Ek aadmi chillaya, " Beta, isiliye tera battua gol hai"

Ek sajjan birth ke neeche se nikalte huay
filmi andaaz me bole,
"Main kaha hoon?"
Ek padosi bola, "Shukar karo beta ki ho,
varna kal railway karamchari poochte, ye kaun tha?"
Itna sunte hi puchne wala maun tha

Achanak gaadi me jor ka halla hua
Koi khushi ke maare chillaya, "Are chali, chali !"
Dusra bola, "Jai bajrang bali"
Teesra, "ya ali !"
Humne kaha, "Are kaahe ki ali, aur kahe ki bali
Gaadi toh aage wali jaa rahi hai,
aur aapko apni chalti nazar aa rahi hai
Pyare, sab nazar ka dhoka hai"

Darasal ye rail gaadi nahi, humari zindagi hai
aur zindagi me dhoke ke siva aur hota hi kya hai

- Author Unknown
11/2/2011 12:36:07 am

its wrong

Reply
sanju
3/18/2014 11:47:37 am

Reply
prachi
9/29/2014 04:07:37 am

i love this poem

Reply
Vidhi
2/3/2016 03:41:39 am

The author's name is Pradeep Choubey.

Reply



Leave a Reply.